Tuesday 31 January 2012

baarish

Aaj phir boondo ka mausam hai
mere man ko ye bhigoti hain
kaisa sanjog hai na jane
barish aankhon se hoti hai
kuch vaade unke adhoore se                                      
kuch yaadien unki dhundhlayi si
kuch sapne mere adhoore se
kuch khwahishen murjhai si

woh paas jo mere hote the
to duniya meri hasti thi
pal pal unki ek ek chhavi
aankhon me meri basti thi


 ab gehra sa sannata hai
ek antheen si doori hai
woh paas to ab bhi hote hain
par har mulakat adhoori hai

woh aaye the woh chale gaye
hum unhi palon me theher gaye
piche ka kuch bhi yaad nahi
aage ka kuch bhi gyaat nahi

kabhi sochti hu is baarish me
saari yaadien beh jayengi
khud ko na aur sataungi
main ab unhe bhool jaungi

par phir se boondien girti hain
mere man ke tal pe barasti hain
phir yaadien hari ho jati hain
aur baarish aankhon se hoti hai

                                          -Palak Rustagi